Maa Durga · Bhajan
Mann leke aya, mata Rani ke bhavan me
Man leke aaya,
Mata Rani ke bhawan mein
Bada sukh paya,
Bada sukh paya,
Maati Rani ke bhawan mein.
|| Man leke aaya... ||
Jai jai Maa, Ambe Maa,
Jai jai Maa, Jagdambe Maa
Jai jai Maa, Ambe Maa,
Jai jai Maa, Jagdambe Maa
Main jaanu Vaishnav Mata,
Tere unche bhawan ki maya,
Bhairav par krodh mein aake,
Maa tune trishul uthaya.
Wo parbat jahan pe tune,
Shakti ka roop dikhaya,
Bhakto ne wahin pe Maiya,
Tere naam ka bhawan banaya ||
Bada sukh paya,
Bada sukh paya,
Maati Rani ke bhawan mein.
|| Man leke aaya... ||
|| Jai jai Maa, Ambe Maa... ||
Tere tej ne Jwala Maiya,
Jab ujiyara phailaya,
Shah Akbar nange pairon,
Tere darbar mein aaya.
Teri jagmag jyot ke aage,
Shraddha se sheesh jhukaya,
Tere bhawan ki shobha dekhi,
Sone ka chhatra chadhaya ||
Bada sukh paya, bada sukh paya,
Maati Rani ke bhawan mein.
|| Man leke aaya... ||
|| Jai jai Maa, Ambe Maa... ||
Hey Chintpurni Mata,
Teri mahima sabse nyaari,
Diye Bhaidas ko darshan,
Tu bhakto ki hai pyaari.
Jo kare Maa tera chintan,
Tu chinta har de saari,
Tere bhawan se jholi bharke,
Jaate hain sabhi pujari ||
Bada sukh paya,
Bada sukh paya,
Maati Rani ke bhawan mein.
|| Man leke aaya... ||
|| Jai jai Maa, Ambe Maa... ||
Maa Naina Devi tune,
Yeh naam bhagat se paya,
Naina Gujjar ko tune,
Sapne mein darash dikhaya.
Aadesh pe tere usne,
Tera mandir banwaya,
Jeevan bhar baith bhawan mein,
Maa tera hi gun gaaya ||
Bada sukh paya,
Bada sukh paya,
Maati Rani ke bhawan mein.
Man leke aaya,
Mata Rani ke bhawan mein
Bada sukh paya,
Bada sukh paya,
Maati Rani ke bhawan mein.
Bhakti Bharat Lyrics
Jai jai Maa, Ambe Maa,
Jai jai Maa, Jagdambe Maa
Jai jai Maa, Ambe Maa,
Jai jai Maa, Jagdambe Maa